Jaane Kyun Humko

Movie Name: Chameli (2004)
Singer: Sunidhi Chauhan
Music Director: Sandesh Shandilya
Lyrics: Irshad Kamil
Year: 2004
Producer: Pritish Nandy
Director: Sudhir Mishra
Actors: Kareena Kapoor, Rahul Bose, Rinke Khanna, Yashpal Sharma

Bheegi huwi koyi shaam woh
Mehka huwa koyi naam woh
Bin baat hi hoti hai nilaam woh
Mash-hoor hai phir bhi badnaam woh
Jaane huwa hai aaj kya hamein na ham
Jaane kyun ham ko yaad… aaye woh

Ab is tarha usko sochta hoon
Guzre huwe woh pal rokta hoon
Woh pal kahin kho gaye hain jo apne
Aur saath bhi ho gaye hain jo sapne
Jaane huwa hai aaj kya hamein na ham
Jaane kyun ham ko yaad… aaye woh


Woh roshni woh aag hai
Ya phir koyi charaag hai
Jisse dheere dheere hai jalna
Jisse is tarha hi hai chalna
Kissi mod pe woh aaj bhi qandeel si jalegi
Shaher ki dhoop si bewaqt hi dhhalegi
Kyun hamko yaad…

Bheegi huwi koyi shaam woh
Mehka huwa koyi naam woh
Bin baat hi hoti hai nilaam woh
Mash-hoor hai phir bhi badnaam woh
Jaane huwa hai aaj kya hamein na ham
Jaane
Kyun ham ko yaad aaye woh...